teacher poetry in urdu best 10 sher

read teacher poetry in urdu

teacher poetry in urdu

یہ جو ہماری درس گاہوں میں اُستاد ہوتے ہیں

حقیقت میں یہی قوم کی بُنیاد ہوتے ہیں

ye jo hamari daras gahon main ustad hotay hain

haqeqat main yahi qom ki buniyad hotay hain

جن کے کردار سے آتی ہو صداقت کی مہک

اُن کی تدریس سے پتھر بھی پگھل جاتے ہیں

jin kay kardar say aati ho sadaqat ki mehak

un ki tadrees say pathar bhi pighal jatay hain

رہبر ہیں یہ، ہمدم ہیں یہ، غمخوار ہمارے

اٌستاد یہ قوموں کے ہیں معمار ہمارے

rehbar hain yeh, hamdam hain yeh, ghamkhwar hamaray

ustad ye qaomon kay hain memar hamaray

ماں باپ اور اٌستاد ہیں سب خٌدا کی نعمت

ہے روک ٹوک ان کی تمھارے لیے نعمت

maan baap aur ustad hain sab KHUDA ki naimat

hai rok tok inn ki tumharay liye naimat

teacher poetry in urdu

دیکھا نہ کوہ کن کوئی فرہاد کے بغیر

آتا نہیں ہے فن کوئی اُستاد کے بغیر

dekha na koh kan koi farhad kay bagher

aata nahi hai fann koi ustad kay bagher

اٌستاد کی عظمت کو ترازو میں نہ تولو

اٌستاد تو ہر دور میں انمول رہا ہے

ustad ki azmat ko trazu main na tolo

ustad tu har daur main anmol raha hai

سنگ بے قیمت تراشا اور جوہر کر دِیا

شمع علم و آگہی سے دِل منوّ ر کر دِیا

sang bay qeemat trasha aur johar kar diya

shamah ilm o aaghi say dil munawar kar diya

read more

teacher poetry in urdu

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top