saqi farooqi poetry in urdu best 10 sher

read saqi farooqi poetry in urdu

saqi farooqi poetry in urdu

خٌدا کے واسطے موقع نہ دے شِکایت کا

کہ دوستی کی طرح دٌشمنی نبھایا کر

Khuda kay wastay mauqa na daay shikayat ka

keh dosti ki tarah dushmni nibhaya kar

مٌدّت ہوئی اِک شخص نے دِل توڑ دِیا تھا

اِس واسطے اپنوں سے مٌحبّت نہیں کرتے

muddat hui ik shakhs nay dil torr diya tha

is wastay apnon say muhabbat nahi kartay

مٌجھ کو میری شِکست کی دوہری سزا مِلی

تجھ سے بچھڑ کے زندگی دٌنیا سے جا مِلی

mujh ko meri shikast ki dohri saza mili

tujh say bicharr kay zindagi duniya say ja mili

ناموں کا اِک ہجوم سہی میرے آس پاس

دِل سٌن کے ایک نام دھڑکتا ضرور ہے

namon ka aik hajoom sahi mery aas pass

dil sun kay aik naam dharakta zarur hai

یہ کیا طلسم ہے کیوں رات بھر سسکتا ہوں

وہ کون ہے جو دِیوں میں جلا رہا ہے مٌجھے

ye kiya talism hai kiyun raat bhar sasikta hoon

vo kon hai jo diyun main jala raha hai mujhay

saqi farooqi poetry in urdu

مٌجھے خبر تھی میرا انتظار گھر میں رہا

یہ حادثہ تھا کہ میں عٌمر بھر سفر میں رہا

mujhay khabar thi mera intzar ghar main raha

ye hadsa tha keh main umar bhar safar main raha

مٌجھ میں سات سمندر شور مچاتے ہیں

ایک خیال نے دہشت پھیلا رکھی ہے

mujh main saat samundar shor machatay hain

aik khyal nay dehshat phela rakhi hai

پیاس بڑھتی جا رہی ہے بہتا دریا دیکھ کر

بھاگتی جاتی ہیں لہریں یہ تماشا دیکھ کر

piyas bharrti ja rahi hai behta darya dekh kar

bhagti jati hain lehrain ye tamasha dekh kar

وہی آنکھوں میں اور آنکھوں سے پوشیدہ بھی رہتا ہے

میری یادوں میں اِک بھٌولا ہوا چہرہ بھی رہتا ہے

vohi aankhon main aur ankhon say posheeda bhi rehta hai

meri yaadon main ik bhoola huwa chehra bhi rehta hai

read more

saqi farooqi poetry in urdu

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top