read sheikh abdul qadir jilani quotes and poetry in urdu، شیخ عبدالقادر جیلانی شاعری
مکانوں کے بنانے میں عٌمر ختم کر رہا ہے
بسیں گے دوسرے اور حساب دے گا تو
makanon kay banany main umer khatam kar raha hai
basain gaiy dusray aur hisab day ga tu
سمجھدار پہلے دِل سے پوچھتا ہے
پھر مٌنہ سے بولتا ہے
samjhdar pehly dil say puchta hai
phir munh say bolta hai
باپ کی باتیں غور سے سٌنو
تاکہ دوسروں کی نہ سٌننی پڑیں
baap ki batain ghor say suno
takeh dusaron ki na sunni parrain
توبہ کے اصل معنی یہ ہیں کہ
ہر حال میں اللہ کے حکم کی عزت کی جاۓ
toba kay asal manni ye hain keh
har haal main Allah kay hukm ki izzat ki jaye
sheikh abdul qadir jilani quotes and poetry in urduread
خالق کے قریب ہونا چاہتا ہے
تو مخلوق پر شفقت کر
khaliq kay qareeb hona chahta hai
tu makhlooq par shafqat kar
خٌدا کے سوا کسی سے نہ ڈر
اور نہ ہی اللہ کے سِوا کِسی سے اٌمید رکھ
Khuda kay siwa kisi say na darr
aur na hi Allah kay siwa kisi say umeed rakh
آخرت کو دنیا پر مقدم رکھ
دونوں میں فائدہ حاصل کرے گا
aakhrat ko duniya par muqadam rakh
dono main faida hasil kary ga
وہ روزی جس میں شٌکر نہ ہو
اور وہ تنگی جس پر صبر نہ ہو، فتنہ ہے
wo rozi jis main shukar na ho
aur wo tangi jis par sabar na ho, fitna hai
read more