Broken heart poetry in Urdu speaks to the pain of a broken heart — bewafai, judai, and the ache of lost love. In this post, read the 20 best heart broken sher by Ghalib, Faiz, Faraz, Jaun Elia and more, in Urdu and Roman.
ham ko un se wafa ki hai ummid
jo nahin jaante wafa kya hai
ہم کو ان سے وفا کی ہے امید
جو نہیں جانتے وفا کیا ہے
aaye to yun ke jaise hamesha the meherban
bhoole to yun ke goya kabhi aashna na the
آئے تو یوں کہ جیسے ہمیشہ تھے مہربان
بھولے تو یوں کہ گویا کبھی آشنا نہ تھے
wo aa rahe hain wo aate hain aa rahe honge
shab-e-firaq ye keh kar guzar di hum ne
وہ آ رہے ہیں وہ آتے ہیں آ رہے ہوں گے
شب فراق یہ کہہ کر گزار دی ہم نے
ho dur is tarah ki tera gham juda na ho
pas aa to yun ki jaise kabhi tu mila na ho
ہو دور اس طرح کہ تیرا غم جدا نہ ہو
پاس آ تو یوں کہ جیسے کبھی تو ملا نہ ہو
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
اس قدر مسلسل تھیں شدتیں جدائی کی
آج پہلی بار اس سے میں نے بے وفائی کی
jo guzari na ja saki hum se
hum ne wo zindagi guzari hai
جو گزاری نہ جا سکی ہم سے
ہم نے وہ زندگی گزاری ہے
kya sitam hai ke ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai
کیا ستم ہے کہ اب تری صورت
غور کرنے پہ یاد آتی ہے
bin tumhare kabhi nahin aai
kya meri nind bhi tumhari hai
بن تمہارے کبھی نہیں آئی
کیا مری نیند بھی تمہاری ہے
rote phirte hain sari sari raat
ab yahi rozgar hai apna
روتے پھرتے ہیں ساری ساری رات
اب یہی روزگار ہے اپنا
jis tarah khwab mere ho gaye reza reza
is tarah se na kabhi toot ke bikhre koi
جس طرح خواب مرے ہو گئے ریزہ ریزہ
اس طرح سے نہ کبھی ٹوٹ کے بکھرے کوئی
Heart Broken Poetry in Urdu
kaise keh dun ke mujhe chhod diya hai us ne
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
کیسے کہہ دوں کہ مجھے چھوڑ دیا ہے اس نے
بات تو سچ ہے مگر بات ہے رسوائی کی
dil dhadakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
دل دھڑکنے کا سبب یاد آیا
وہ تری یاد تھی اب یاد آیا
kuchh to majburiyan rahi hongi
yun koi bewafa nahin hota
کچھ تو مجبوریاں رہی ہوں گی
یوں کوئی بے وفا نہیں ہوتا
dost ne dil ko tod ke naqsh-e-wafa mita diya
samjhe the hum jise khalil kaaba usi ne dha diya
دوست نے دل کو توڑ کے نقش وفا مٹا دیا
سمجھے تھے ہم جسے خلیل کعبہ اسی نے ڈھا دیا
dil abhi puri tarah tuta nahin
doston ki mehrbani chahiye
دل ابھی پوری طرح ٹوٹا نہیں
دوستوں کی مہربانی چاہیے
muddat hui ek shakhs ne dil tod diya tha
is waste apnon se mohabbat nahin karte
مدت ہوئی اک شخص نے دل توڑ دیا تھا
اس واسطے اپنوں سے محبت نہیں کرتے
dil jo tuta hai to phir yaad nahin hai koi
is kharabe mein ab aabaad nahin hai koi
دل جو ٹوٹا ہے تو پھر یاد نہیں ہے کوئی
اس خرابے میں اب آباد نہیں ہے کوئی
dil bhi toda to saliqe se na toda tum ne
bewafai ke bhi aadab hua karte hain
دل بھی توڑا تو سلیقے سے نہ توڑا تم نے
بے وفائی کے بھی آداب ہوا کرتے ہیں
hum se kya ho saka mohabbat mein
khair tum ne to bewafai ki
ہم سے کیا ہو سکا محبت میں
خیر تم نے تو بے وفائی کی
tum ne kiya na yaad kabhi bhul kar hamein
hum ne tumhaari yaad mein sab kuchh bhula diya
تم نے کیا نہ یاد کبھی بھول کر ہمیں
ہم نے تمہاری یاد میں سب کچھ بھلا دیا
Frequently Asked Questions
What is broken heart poetry?
Broken heart poetry is Urdu shayari about the pain of a broken heart — bewafai, judai, and lost love. It gives words to the ache of separation.
Who wrote the best broken heart poetry?
Ghalib, Faiz Ahmad Faiz, Ahmad Faraz, Jaun Elia, Mir Taqi Mir and Parveen Shakir wrote some of the most famous broken heart sher in Urdu.
Can I share these broken heart sher?
Yes, you can share these sher with friends and family. Each sher is shown in Urdu and Roman so everyone can read it.
Read more: broken heart poetry in urdu
