Poetry of Imam Hussain in Urdu – 20 Best Sher

poetry of imam hussain in urdu is the poetry of Karbala — sher on sacrifice, courage and the stand of truth against falsehood. In this post, read 20 best poetry of imam hussain — sher by Jauhar, Iqbal, Faraz, Ghalib, Parveen Shakir and more, in Urdu and Roman.

Qatl-e-Husain asl mein marg-e-Yazid hai
Islam zinda hota hai har Karbala ke baad
قتلِ حسین اصل میں مرگِ یزید ہے
اسلام زندہ ہوتا ہے ہر کربلا کے بعد

Haqiqat-e-abadi hai maqam-e-Shabbiri
Badalte rehte hain andaz-e-Kufi-o-Shami
حقیقتِ ابدی ہے مقامِ شبیری
بدلتے رہتے ہیں اندازِ کوفی و شامی

Phir Karbala ke ba’d dikhai nahin diya
Aisa koi bhi shakhs ki pyasa kahen jise
پھر کربلا کے بعد دکھائی نہیں دیا
ایسا کوئی بھی شخص کہ پیاسا کہیں جسے

Jab bhi zamir-o-zarf ka sauda ho dosto
Qaem raho Husain ke inkar ki tarah
جب بھی ضمیر و ظرف کا سودا ہو دوستو
قائم رہو حسین کے انکار کی طرح

Husain-ibn-e-Ali Karbala ko jate hain
Magar ye log abhi tak gharon ke andar hain
حسین ابن علی کربلا کو جاتے ہیں
مگر یہ لوگ ابھی تک گھروں کے اندر ہیں

Ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh
Id-e-nazzara hai shamshir ka uryan hona
عشرتِ قتل گہِ اہلِ تمنا مت پوچھ
عیدِ نظارہ ہے شمشیر کا عریاں ہونا

Karbala to aaj bhi milta hai har har gaam par
Shahr mein lekin Husain-e-ba-wafa koi nahin
کربلا تو آج بھی ملتا ہے ہر ہر گام پر
شہر میں لیکن حسینِ باوفا کوئی نہیں

Salam un pe teh-e-tegh bhi jinhon ne kaha
Jo tera hukm jo teri raza jo tu chahe
سلام ان پہ تہِ تیغ بھی جنہوں نے کہا
جو تیرا حکم جو تیری رضا جو تو چاہے

Mere sine se zara kaan laga kar dekho
Sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai
میرے سینے سے ذرا کان لگا کر دیکھو
سانس چلتی ہے کہ زنجیر زنی ہوتی ہے

Tum jo kuchh chaho wo tarikh mein tahrir karo
Ye to neza hi samajhta hai ki sar mein kya tha
تم جو کچھ چاہو وہ تاریخ میں تحریر کرو
یہ تو نیزہ ہی سمجھتا ہے کہ سر میں کیا تھا

Imam Hussain Poetry in Urdu

Hawa-e-Kufa-e-na-mehrban ko hairat hai
Ki log khema-e-sabr-o-raza mein zinda hain
ہوائے کوفۂ نا مہرباں کو حیرت ہے
کہ لوگ خیمۂ صبر و رضا میں زندہ ہیں

Kal jahan zulm ne kaati thin saron ki faslen
Nam hui hai to usi khaak se lashkar nikla
کل جہاں ظلم نے کاٹی تھیں سروں کی فصلیں
نم ہوئی ہے تو اسی خاک سے لشکر نکلا

Dil hai pyasa Husain ke manind
Ye badan Karbala ka maidan hai
دل ہے پیاسا حسین کے مانند
یہ بدن کربلا کا میدان ہے

Sina-kubi se zameen sari hila ke utthe
Kya alam dhoom se tere shuhada ke utthe
سینہ کوبی سے زمیں ساری ہلا کے اٹھے
کیا علم دھوم سے تیرے شہدا کے اٹھے

Tanha tere matam mein nahin sham-e-siyah-posh
Rahta hai sada chaak gareban-e-sahar bhi
تنہا تیرے ماتم میں نہیں شامِ سیاہ پوش
رہتا ہے سدا چاک گریبانِ سحر بھی

Pa-ba-gil sab hain, rihai ki kare tadbir kaun
Dast-basta shehr mein khole meri zanjir kaun
پا بہ گل سب ہیں رہائی کی کرے تدبیر کون
دست بستہ شہر میں کھولے مری زنجیر کون

Sahil tamam ashk-e-nadamat se uth gaya
Dariya se koi shakhs to pyasa palat gaya
ساحل تمام اشکِ ندامت سے اٹ گیا
دریا سے کوئی شخص تو پیاسا پلٹ گیا

Zawal-e-asr hai Kufe mein aur gadagar hain
Khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siva
زوالِ عصر ہے کوفے میں اور گداگر ہیں
کھلا نہیں کوئی در بابِ التجا کے سوا

Mushafi Karb-o-bala ka safar aasan nahin
Saikron Basra-o-Baghdad mein mar jate hain
مصحفیؔ کرب و بلا کا سفر آسان نہیں
سینکڑوں بصرہ و بغداد میں مر جاتے ہیں

Shu’ur-e-tishnagi ek roz mein pukhta nahin hota
Mere honthon ne sadiyon Karbala ki khaak chumi hai
شعورِ تشنگی اک روز میں پختہ نہیں ہوتا
میرے ہونٹوں نے صدیوں کربلا کی خاک چومی ہے

FAQs

Who was Imam Hussain?
Imam Hussain (RA) was the grandson of Prophet Muhammad (PBUH) and the son of Hazrat Ali (RA) and Fatima (RA). He was martyred at Karbala in 680 AD, standing for truth and justice against tyranny.

Why is Karbala poetry so famous in Urdu?
Karbala poetry carries the message of sacrifice, patience and the stand of truth. Poets from Mir Anis and Josh Malihabadi to Iqbal and Faraz have written on Karbala, and its sher are read in Muharram and all year round.

What is the most famous sher on Imam Hussain?
The most famous sher is by Maulana Mohammad Ali Jauhar: “Qatl-e-Husain asl mein marg-e-Yazid hai / Islam zinda hota hai har Karbala ke baad” — it is often wrongly credited to Allama Iqbal, but Rekhta confirms it is Jauhar’s.

Read more: poetry of imam hussain

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top