suna hai log usay lyrics in urdu

read ahmed faraz famous ghazal suna hai log usay lyrics in urdu

suna hai log usay lyrics in urdu

سُنا ہے لوگ اُسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں

سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں

suna hai log usay aankh bhar kay dekhtay hain

so us kay sheher main kuch din theher kay dekhtay hain

سُنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سے

سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں

suna hai rabt hai us ko khrab halon say

so apnay aap ko barbad kar kay dekhtay hain

سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اس کی

سو ہم بھی اس کی گلی سے گُزر کے دیکھتے ہیں

suna hai dard ki gahak hai chashm naz us ki

so hum bhi us ki gali say guzar kay dekhtay hain

سنا ہے اس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف

سو ہم بھی معجزے اپنے ہُنر کے دیکھتے ہیں

suna hai us ko bhi hai sher o shayari say shughaf

so hum bhi mojazay apnay hunar kay dekhtay hain

سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں

یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں

suna hai bolay tu baton say phool jharrtay hain

ye baat hai tu chalo baat kar kay dekhtay hain

سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہے

ستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں

suna hai raat usay chand takta rehta hai

sitaray baam falak say utar kay dekhtay hain

suna hai log usay lyrics in urdu

سنا ہے دِن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیں

سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں

suna hai din ko usay titliyan sitati hain

suna hai raat ko jugnu theher kay dekhtay hain

سنا ہے حشر ہیں اس کی غزال سی آنکھیں

سنا ہے اس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں

suna hai hashar hain us ki ghazzal si aankhain

suna hai us ko hiran dasht bhar kay dekhtay hain

سنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اس کی

سنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں

suna hai raat say barrh kar hain kaklain us ki

suna hai sham ko saaye guzar kay dekhtay hain

سنا ہے اس کی سیاہ چشمگی قیامت ہے

سو اس کو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں

suna hai us ki siyyah chashmgi qiyamat hai

so us ko surma firosh aah bhar kay dekhtay hain

سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں

سو ہم بہار پہ الزام دھر کے دیکھتے ہیں

suna hai us kay labon say gulab jaltay hain

so hum bahar pay ilzam dhar kay dekhtay hain

سُنا ہے لوگ اُسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے آئینہ تمثال ہے جبیں اس کی

جو سادہ دل ہیں اسے بن سنور کے دیکھتے ہیں

suna hai aaina tamsal hai jabin us ki

jo saada dil hain usay ban sanwar kay dekhtay hain

بَس اِك نَگاہ سے لوٹا ہے قافلہ دِل كا

سو  رہ ِ رَوان تَمنَا بھی ڈر كے دیكھتے ہیں

bas ik nigah say loota hai kafla dil ka

so rah e rawan e tamana bhi dar kay dekhtay hain

سٌنا ہے اس کے شَبستاں سے مٌتصّل ہے بہشت

مکیں اٌدھر کے بھی جلوے اِدھر کے دیکھتے ہیں

suna hai us kay shabastan say mut-tsil hai bahisht

makeen udher kay bhi jalway idher kay dekhtay hain

رٌکے تو گردشیں اس کا طواف کرتی ہیں

چلے تو اس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں

rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain

chaly tu us ko zamanay thehar kay dekhtay hain

read more

suna hai log usay lyrics in urdu

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top